Hindi Bhajan-bane Ho Ek Kaak Se



BANE HO EK KAAK SE, TO DUUR KYA QAREEB KYA -(3)

LAHU KA RANG EK HAI, AMIR KYA GARIB KYA

BANE HO EK...



VO HI JAAN VO HI TAN, KAHAAN TALAQ CHHUPAAOGE -(2)

PEHAN KE RESHAMI LIBAAZ, TUM BADAL NA JAAOGE

KE EK JAAT HAIN SABHI -(2)

TO BAAT HAI AJEEB SI

LAHU KA RANG EK HAI...



GAREEB HAI VO ISS LIYE, TUM AMIR HO GAYE -(2)

KE EK BAADSHAAH HUA, TO SAU FAKEER HO GAYE

KHATA YAHA HAI SAMAAJ KI -(2)

BHALA BURA NASEEB KYA

LAHU KA RANG EK HAI...



JO EK HO TO KYON NA PHIR, DILON KA DARD BAANT LO -(2)

LAHU KI PYAAS BAANT LO, RUKO KI DARD BAANT LO

LAGA LO SABA KO TUM GALE (2)

HABEEB KYA, RAQEEB KYA

LAHU KA RANG EK HAI...

Posted By : Vinod Jindal on Jul 09, 2011


 
 

© 2024 Holydrops. All Rights Reserved