Agar Haath Rakh De Mere Sar Pe Sai



Agar haath rakh de mere sar pe Sai


mujhe fir kisi ki zaroorat nahin nahin hai |


bithaale agar apne charanon men har dam


kisi bhi khushi ki zaroorat nahin hai ||


 


Ye fulon ki duniyaa, ye karon ki duniyaa


ye laalach men bhatke vichaaron ki duniyaa |


agar pi sakun Sai masti kaa amrut


kise bekhudi ki zarorat nahin hai ||


agar haath rakh de .....


 


dayaa ki hai Tumne to, ar bar kar do


meri zindagi pe ye upkaar kar do |


agar chod baithun main daaman Tumhaaraa


to is zindagi ki zaroorat nahin hai ||


agar haath rakh de .....


 


pujaari jaha lut lete hai mandir


kabhi jhankte bhi nahi apne andar |


khudaa ki zaroorat hai esi jamin par


yahaan admi ki jarrorat nahin hai ||


agar haath rakh de .....


 


chalenge yahaan se Tere kaam karke


kabhi na rahenge andheron se dar ke |


agar saath ho Sai Baba ka dipak


kisi roshni ki zarorat nahin hai ||


agar haath rakh de .....


 

Posted By : Vinod Jindal on Jul 18, 2011


 
 

© 2024 Holydrops. All Rights Reserved